Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye? – [Top 3 Method]

Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye?: How to make Bootable Pendrive for Windows 7, 8/8.1, 10 in Hindi. Dosto Aaj Ham Janenge- Windows Install Ya Format Karne Ke Liye, “Bootable Pendrive Kaise Banaye?“. Bhut Sare Dosto Ne Mujhe Pucha Ke Pendrive Bootable Kaise Banaye? Aur Booting Kya Hai? Bootable Hota Kya Hai?

pendrive bootable kaise banaye
How to make Bootable Pendrive in Hindi

Without Bootable Pendrive Se Windows Install Kaise Kare. Inn Sabhi Sawalo Ki Jawab, Yeh Article Par Apko Puri Jankari Mil Jayenge. Bas Aap Age Padhte Rahe.

Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye – How to make Bootable Pendrive in Hindi?

Main Apko Top 3 Sabse Asan Method Ke Bareme Bataya Hai. Jiyadatar Log Issi Mei Se Koi Ek Method Se, Apne Pendrive Ko Bootable banate Hai.

Windows Format Kar Ke Install Karne Ke Liye Sabse Asan Method Hai, Isse Aap Microsoft Windows 7, 8, 10, macOS, Ya Linux Ki Koi Bhi Version Ko Install Kar Sakte Ho. to Chaliye Sabse Pehle ham Booting Ko Samjh Lete Hai.



Booting Kya Hai – (What is Booting in Hindi)?

Computer Me Booting Ek Process Hota Hai, Jo Apke Computer Ko Start Karne Ke Liye Process Karta Hai. Isko Aap Hardware Ki Duwara Suru (Start) Kar Sakte Hai. Jaise Button Se Ya Software Command Deke Chalu Kar Payenge.

Sayed Apko Pata Hoga, Computer Ki Central Processing Unit (CPU) Me Iska Koi Main Memory Me Software Nahi Hoti Hai. Issiliye Kuch process ko execute Karne Se Pehle Software Ko Memory Me Load Karna Hota Hai. Issi Process Ko Ham Booting Kahte Hai.

Types Of Booting in Hindi

Booting 2 Types Ki Hoti Hai.

  1. Cold Booting (Hard Boot).
  2. Warn Booting (Soft Boot).
#1. Cold Booting

Ye Woh Booting Hai, Jisko Ham Computer Ko switched off Karne Ke Baad Start Karte Hai. Computer Power Button Ko Dabakar On Karna Ko Cold Boot Kaha Jata Hai. Jaise Ham Normally Isko Hard Boot Kahte Hai.

#2. Warn Booting

Warm booting: Agar Apke Computer Crash Hone Ke Baad Restart Hoga Hai. Ya Normally Aap Khud Shutdown Menu Me Jake, Restart Button Par Click Karke, System Ko Restart Karte Hai. To Iss Restart Process Ko Warm Boot Ya Soft Boot Kaha Jata Hai.

Toh Chaliye Sabse Pahle Hum Janlete Hai Ke Bootable Actually Hota Kya Hai.

Bootable Kya Hai – (What is Bootable in Hindi)?

Computer/Laptop Ko Boot Karne Ke Liye Software File Hota Hai. Yani Bootable Ek Disk Ya Pendrive Me Kisi Bhi Operating System (OS) Software Ko Boot Ke Liye Ready Rakhna Ko Bootable Kah Sakte Hai.

Bootable Plug-In-Play Jaise Hi Hai, Kyu Ki Hume Pendrive Ko Laptop/Computer Me Lagane Ke Baad Sirf Restart Karna Hota Hai. Phir Bina Koy Setup Karke Hum Badi Aasani se Ubuntu, Windows Operating System Install Kar Sakte Hai.

Boot File Kya Hai – (What is Boot File)?

Jab Ham CD Ya Pendrive Ko Bootable Create Karte Hai. To Usko Under Jo Bhi OS Store Karte Hai, Jaise Windows 7, Windows 8/8.1 Ya Windows 10 Ek Hi File Me Hoke Create Karte Hai. Aur Ussi File Ko Aap Boot File Kah Sakte Ho.

Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye – Create Bootable Pendrive

Jaise Ki Main Pehle Hi Apko Bata Chuka Hu Kisi Bhi Pendrive Ko Bootable Karne Ke Liye 3 Popular Method Bataunga Wale Hu, Aap Bas Mujhe Steps By Step Follow Karte Rahe.




Method1: CMD Se Bootable Pendrive Kaise Banaye? – Create Bootable using by cmd:

Aapko Pata Hi Hoga Command Prompt क्या है और कैसे Use करे? Agar Nahi Pata Hai Jake Pehle Ye Article Padhe. Isse Apko Idea Lag Jayega CMD Command Se Bootable Kaise Banate Hai. Agar Apne Padhliye Hai. To Chale Steps by Steps Jante Hai, “how to make Pendrive bootable using by cmd command

Step1: Sabse Pehle Apke Computer/Laptop Me Command Prompt (CMD) Open Karne Ke Liye, Windows Key+R  Ek Sath Press Kare.

Agar Apko Windows Key Samjh Me Nahi Aaya. To Aap Keyboard Le Left Side Me Windows Logo Ka Ek Button Hai, Usko Aur R Button Ko Ek Sath Press Kare.

Steps2: Ab Apke Samne Ek RUN Ka Dialog Box Open Hoke Aagiya Hai,
To CMD Type Karke Enter Kare.
cmd se pendrive ko bootable kaise banaye

Step3: Command Prompt (CMD) Open Ho Gaye Hai, Yeha Apko Bas Kuch Command Dena Hoga. Uske Liye Pahle Aap Pendrive Ko PC Me Laga Lijiye. Aur Han Pendrive 4GB Se Upar Hi Rakhe.

Step4: Toh Sabse Pahla Command Dijiye, “DISKPART” Type Karke Enter Kare.
Jaise Hi Enter Karenge Apko Ek Naya CMD Milega, Isse Diskpart Command Kahte He. Niche Screenshot Dekh Sakte Ho.

how to make pendrive bootable using cmd

Step5: Ab Naya CMD Me “LIST DISK‘ Type Karke Enter Kare. Iss Command Se Ham Dekh Sakte Hai, PC Me Kitna Disk Hai. Usme Se Aapko Pendrive Wala Disk Hi Select Karna Hai.

Example: Ye Step Bhut Important Hai, Soch Samjhke Enter Kare. Agar Apka Pendrive Disk 2 Me Dikha Rahe Hai,  To Apko  SELECT DISK 2 Type Karke ENTER Kare.

Agar Disk 1 Dikha Raha Hai Toh SELECT DISK 1 Type Karna Hoga. Pendrive Ka Size Dekhke Choose Dekhke Pata Laga Sakte Hai Ye Konsa DISK Hai.

Note:  Iss Option Ko Sahise Follow Kare Agar Sab Thik Lage Toh Hi Age Badhe, Warna Pehle SiH FB Page Me Message Karke Clear Karlo.

Step6:  Disk Select Kar Liye Hai, To Ab Niche Diye Gaye Command Ko One by One Type Karke Enter Kare:

  • CLEAN
  • CREATE PARTITION PRIMARY
  • SELECT PARTITION 1 (Agar Apne SELECT DISK 2 Kiye Ho Toh Yaha SELECT PARTITION 2 Enter Kare.)
  • ACTIVE
  • FORMAT FS=FAT32

Ab Kuch Der Wait Kare, 100% Complete Hone Ke Baad Next Command

  • ASSIGN Enter Kare.
  • Ab EXIT Enter Kare.

pen-drive bootable command on cmd - www.solutioninhindi.com
Toh Dosto Apke Pendrive Successfully Bootable Bangiya HaiAb Apko Agar Windows Install Ya Format Karna Hai. Toh Windows Ya Format File Pendrive Me Copy Kar Ke System Ko Restart karke Aasani Se Kar Sakte Hai.

Agar Apko Iss Method Me Kahi Problems Ho Rahi Hai Toh Comment Kare.
Or Pasand Aaye Toh Apne Friends Ko Share Kare & Kahe Ke Latest Update Ke Liye SolutionInHindi.com Par Visit Kare.




Method2: Pendrive ko Rufus Software Se Bootable Kaise Banaye.

Step1: Ye Method Bhut Hi Asan Hai Iss me Apko Rufus (916 KB) Naam Ka Ek Software Hai. Usse Download Karna Hoga. Download Karne Ke Liye Niche Download Button Par Click Kare.
Step2: Download Hone Ke Baad Rufus Ko Run Kare. Kuch Iss Tarah Open Hoke Aayega.
Niche Screenshot Dekh Sakte Hai.
screenshot of rufus pendrive bootable - www.solutioninhindi.com
Step3: Toh Dosto Aap Apna Pendrive System Me Laga Lijiye.
rufus software se pendrive ko bootable kare - www.solutioninhindi.com
  1. Pendrive Select Kare.
  2. GPT Partition Scheme For UEFI  Select Kare.
  3. Default Hi Rakkhe.
  4. Default.
  5. By Default Rahne De.
  6. ISO Image Select Kare.
  7. Click Karke Computer Me Save Ki Huyi Windows File Open Kare.
  8. Start Par Click Kare.
Ab Kuch Time Wait Kare Aur Jab Process Puri Ho Jaye Toh Close Kare. To Now Your Pendrive Successfully Bootable Hoke Ready Ho Gaye Hai.
Friends Aap ko Agar Iss Process Me Kahi Dikkat Aarahe Hai Toh Comment Kare.
Aur Pasand Aaye, To Jarur Apne Friends Se Share Kare  Aur Apne Friends Se Kahe Latest Update Ke Liye SolutionInHindi.com Par Visit Kare.



Method3: WiNToBootic Se Pendrive Ko Bootable Kaise Banaye?

Step1: Sabse Pahle WiNToBootic Software Download Kare.
Download WiNToBootic
Step2: Download Complete Hone Ke Baad, Pahle Iss Zip File Ko Unzip Karke, Aur Double Click Karenge Toh Kuch Iss Tarah Open Hoga.

screenshot of wintobootic pen-drive bootable software - www.solutioninhindi.com

Step3: Ab Aap Apne Pendrive Ko SystemComputer Me Laga Lijiye.
select your pen-drive - www.solutioninhindi.com
  • Apna Pendrive Select Kare.
  • Quick Format Me Tick Lagaye.
Step4: Ab Drop Source Par Click Kare Aur Apke Computer Me Padi Windows (XP, 7, 8, 10) ISO File Ko Select Kare.
select windows (XP, 7, 8, 10) iso file - www.solutioninhindi.com
Ab Kuch Iss Tarah Dikai Dega, Bas Do It Par Click Kar Dijiye,
Step5: Ab Apke Pendrive Format Aur Windows Copy Hona Start Hone Lagega.
Jaise Ki Aap Niche Screenshot Me Dekh Sakte Hai.
now processing your pen-drive make bootable - www.solutioninhindi.com
Ab Kuch Der Wait Kare Uske Baad Ek New Window Open Hogi Content Writing Me Kuch Time Lage ga. Complete Hone Ke Baad Thanks, Par Click Kare.
Bas Itna Karne Se Aapke Bootable Pendrive Ready Ho Jayega Windows Install Karne Ke Liye.

Ye Bhi Padhe:

Conclusion: Pendrive Bootable Kaise Banaye?

Pendrive Ko Bootable Kaise Kare Step By Step (Pendrive Ko Bootable Karne Ka Tarika) Jan Gaye Honge. Agar Aapko Bootable Karne Me Kisi Method Me Dikkat Aarahi Hai Toh Jarur Comment Kare.

Ummed Karta Hu, Apke Liye Ye Article Helpful Rahega. Agar Waki Me Aap Ke Liye A Post Helpful Raha. Toh Comment Karke Jarur Bataye. Aur Han Apne Friends Ke Sath Share Karna Na Bhule.

Latest Update Ke Liye and E-mail Me Update Pane Ke Liye Subscribe Kare Or Other Link Yaha Hai- Facebook Group |Twitter | LinkedIn | Facebook Page |

Last update: 14 jan 2021

पिछला लेखMobile Apps Notification Block (Off) Kaise Kare
अगला लेखKisi Bhi Mobile Me USB OTG Cable Kaise Connect (Use) Kare
मेरा नाम मुहम्मद बदिरुद्दीन है। मैं एक पेशेवर वेब और सॉफ्टवेयर डेवलपर, एथिकल हैकर, डिजिटल मार्केटर और भारतीय ब्लॉगर हूँ! मुझे लोगों की मदद करना बहुत पसंद है। इसलिए SolutionInHindi.com पर एथिकल हैकिंग, कंप्यूटर, मोबाईल, इंटरनेट, सोशल मीडिया, टिप्स और ट्रिक्स और टेक्नोलॉजी सम्बंधित ट्यूटोरियल की पूरी जानकारी हिंदी में शेयर करता हूँ!

32 टिप्पणी

कोई जवाब दें

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें