Android Mobile Root Kya Hai Or Kaise Kare (Full Guide)

androide mobile root kya hai or root kaise kare - www.solutioninhindi.com
Hi Friends, Aap sabhi ko www.SolutionInHindi.com par swagat hai. Aap ye post padh rahe hai iska matlab hai aap bhi chahte hai ke Smartphone ko uske jad tak Use karna chahte hai. Lekin ho sakta hai aap manhi man soch rahe honge ke android mobile ko Root kaise kare. Ya phir aap dar rahe hai root karne se. Toh dosto darne ki koy baat nhi kyu ki aaj ham baat karenge – Mobile Root Kya Hai.? Mobile Root Kaise Kare Full Guide. Mobile Root Ke Fayde Or Nuksaan. Mobile Root Karne Ka Sahi Tarika Kya Hai.? Root Karne Ka Software.?In sare swalo ke jawab apko is post par mil jayega. Toh dosto is artical ko badi dhayan se padhte rahe. Toh chale jante hai Android mobile root kya hai?

Android Mobile Me Root Kya Hai

Dosto Agar Aap Chahte Hai Mobile Ka Jad tak use karenge toh toh apko apke mobile root karna hoga, Mobile Rooting ka matlab hota hai ke mobile OS (Operating System) ke jud tak use karna. Our root karne ke bad man chahe mobile me effect (Badlaw) karna. Jaise Mobile Root hone ke bad Security Lockig System, RAM Increase karna, Battery Optimize karna, Installed aaps ko man mutabik badal sakte hai. Mobile Root karne se hamare android mobile me Coustom Android OS (Operation System) hote jate hai. I Hope ke aap Root kya hota hai samajh gaye honge. Toh chale jante hai Mobile Root karna ka faide (Advantages) kya hai?

Mobile Root Karne Ka Fayda Kya Hai (Advantages)

Dosto agar aap apke mobile phone ko rooting karte hai toh aapko bhut sare features milega Jaise-
 

Memory, RAM, Increase: Sabse pahle agar ham rooted mobile ke fayde ke baat kare toh Mobile Root karne ke bad aap Internal Memory, RAM, Processor ko bhi badha sakte hai. Isse apke mobile phone me bhut badlaw aajate hai. Aap toh samajh hi rahe honge Internal Memory Or RAM, Prossesor ka Increase hona matlab ke rooted mobile se kitna dhamal kar sakte hai.

 

Battery Life Increase: Jee haan dosto aap apne mobile ke battery life ko bada sakte hai, Normat Android mobile me jitna battery life hoti hai, Mobile root karne ke bad kafi had tak battery life badha sakte ho.

 

Change Anyting Your Mobile: Mobile rooting ke bad aap kuch bhi kar sakte hai Jaise- Apke Mobile Name Change, IP Adress, Model Number sab kuch Change (Badal) sakte hai. aap agar Tech Releted jankari rakhte hai toh aap User Interface (UI) bhut Easyly change kar sakte hai.

 

Ads Free Apps: Iske matlab toh aap samajh hi gaye honge. Ads Free ka matlab hai bina root ke mobile application/Game me jiyada tar apps me ads (Advertising) rahne hai. Jaise ki agar aap Ads wala apps ko download karke open karenge usme apko kuch ads dikhai deta hai. Toh wo sab apps se apko chutkara mil jayega. Kyu ki mobile root hone ke bad ads disable ho jate hai.

 

 

Mobile Root Kyu Jaruri Hai

Dosto agar aap Mobile se bada kuch karna chahte hai Jaise – Experiment Wagaira toh apko pahle mobile ko root karna hoga. apne kabhi Note bhi kiye honge PlayStore se apps download karne time apko root mangta hai. Dosto agar aap sach me mobile ke kide ya kuch karna chahte hai mobile se toh aap ek bar Root Mobile use karke jarur dekhe.
  • Our bhi bhut kuch faide hai mobile root karne ke wo apko dhire dhire pata chal jayega. Toh ab ham janenge mobile root karne ka nuksan kya ho sakta hai.

Mobile Root Karne Ka Nuksan Kya Hai (Disadvantages)

 

Warranty Problem: Dosto agar ham Mobile root karne ka Nuksan ke baat kare toh apke Mobile Warranty jo hai woh khatam ho jayegi. Kyu ki mobile ko root karne se apke mobile ke Security Lock ko todh te hye mobile ki jad (Root) tak jati hai. Lekin agar apke Mobile Company se allow hai root karne ki toh apko koy problems nhi hai, abhi bhut sare mobile company ne Mobile Root ko allow kar diya hai.

Toh apko pahle pata karlena hai kya apke mobile Company se root karne ki allow hai ya nhi. Kyu ki warranty wale mamle me sirf badi company ne di hai.

Only Custom OS Install:  Jee haan dosto apko company dwara diye gaye latest  androide version nhi diye jayenge. Don’t worry uske bad aap custom OS install kar sakte hai. Jo usse kamal ka hoga. Lekin mobile root hone ke bad apko koy bhi wallet related apps nhi milenge.!

 

Mobile Dead: Agar aap mobile root karte samay sabhi instraction ko follow nhi karenge toh apke mobile life time ke liye dead ho sakta hai. apko root karte samai dhayn se karna hoga. agar aap kisi bhi publisher ka apps install kiya or agar apke mobile phone par koy Virus attack hota hai. Toh uske jimmedar aap khud honge.

 
  • Toh dosto me apko mobile root karne ka fayde or nuksan dono ke bare me bata diya hu. Agar aap root karne ke nuksan se koy fark nhi padhta hai Our Root karna chahte hai toh chale jante hai mobile root karne ka sahi tarika kya hai.

 

Mobile Root Kaise Kare (Solution In Hindi) -Mobile Root Karne Ka Sahi Tarika Jane


Dosto Mobile root karna bhut hi asaan hai. apko bas ghabrana nhi hai or mere sath step ko follow karna hai.

Step-1

Sabse pahle apko apke computer me “Kingroot” software Download karna hai. Download karne ke liye yaha KingRoot par click karke download kare. Link par click karte hi Automattically downloading hona start ho jayega.

Step-2

KingRoot software download ho giya hai toh apke computer/laptop me Install kare. Installing Process asaan hi apko double click karna hai, Uske bad apke samne Next ki button show hoga. Next ki button par click karne ke bad 2-3 bar Accept par click karenge toh KingRoot Install ho jayega.

Step-3

KingRoot Install hogiya hai toh open kare. Open karenge toh apke samne kuch istarah ke page ayega.
mobile root ke liye kingroot open karke use connect kare

Step-4

Ab apko apke Mobile phone ko Computer/ laptop ke sath Connect karna hai. Uske pahle apko Mobile Setting me jake Developer Option me click karke ON karna hai phir USB Bebugging par tick (✔) lagane hai. Samajhme nhi aye toh niche screenshot dekhe.
mobile root ke liye phone me usb debugging on kare

Note: Agar apke mobile me Developer Option Show nhi karraha hai toh sabse pahle apko About Phone par click karna hai uske bad Build Number par 7 bar click kare. Ab apko About Phone se nikal aayenge toh Thik about phone ke upar Developer Option show hoga.

developer option ke liye about me jake build number me 7 click kare

Step-5

Ab mobile ko USB se Connect karenge toh ROOT karne ka option milega. Screenshot dekhe.
mobile root karne ke liye root par click kare
Apko bas ROOT par click kar dena hai. Jaise hi aap ROOT par click karenge Rooting hona Start ho jayega. Percentage (%) me show hoga jab 100% Complate hone ke liye thoda wait kare. Jab apke Mobile Root Suscessed! hojayega toh Finish par click kare.
root par click karte hi mobile root hona start ho jayega

Desclaimer: Mobile root karte samai mobile me koy bhi problems ane par Solution In Hindi Or Mera (Md Badiruddin) Koy jimmedari nhi hai. Dosto maine apko pahle hi bata diya hu mobile root karne ka fayde or nuksan dono ke bare me. Agar aapke root karne ka nuksan se koy fark nhi padhta hai Our Root karna chahte hai, Toh Step follow kare. matlab mobile root apne risk par kare,

 

Ye Bhi Padhe.

Toh Dosto I Hope Ye Post Apke Liye Helpful Rahega. Agar Aap Mobile Ko Root Karna Chahte Hai Our Kisi Step Me Samajh Me Nhi Aaye Toh Comment Kar Sakte Hai. Agar Aap www.solutioninhindi.com Ke Sath Update Rahna Chahte Hai Toh Subscribe Kare. Or Other Social Media Ke Sath Bhi Jud Sakte Hai | Facebook Page Like | Twitter | Facebook Group | LinkedIn | Google+ Page | Pinterest | Deliciouse |
Thank You..
पिछला लेखGoogle Drive Kya Hai Or Kaise Use Kare (Full Guide)
अगला लेखMobile Me Recycle Bin Features Kaise Add Kare
मेरा नाम मुहम्मद बदिरुद्दीन है। मैं एक पेशेवर वेब और सॉफ्टवेयर डेवलपर, एथिकल हैकर, डिजिटल मार्केटर और भारतीय ब्लॉगर हूँ! मुझे लोगों की मदद करना बहुत पसंद है। इसलिए SolutionInHindi.com पर एथिकल हैकिंग, कंप्यूटर, मोबाईल, इंटरनेट, सोशल मीडिया, टिप्स और ट्रिक्स और टेक्नोलॉजी सम्बंधित ट्यूटोरियल की पूरी जानकारी हिंदी में शेयर करता हूँ!

8 टिप्पणी

कोई जवाब दें

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें