Olx Par Old Products Sell Kaise Kare – Full Guide

Hi Friends, Aaj Ham Leke Aaye Olx Par Old (Purane) Saman Ko Sell Karne Ka Sahi Tarika Kya Hai Or Kaise Karte Hai. Step By Steep Complete Guide Apko Iss Post Ke Madad se Mil Jayega. Dosto Abhi Ke Jamane Me Internet Itna Tarakki Kar Raha Hai Ke Kuch (Few) Years Ke Baad Sab Kuch (Everything ) Internet Ki Dwara (Through) kiye Jayega. Olx Par Old Products Sell Kaise Karte Hai.

Olx Ek Aysi Website Hai Jiske Madad Se Aap Asani Se Apke Purane (Old) Saman (Products) Jaise – Mobile, Car, Bike, Homes, Etc Sell Kar Sakte Hai. Olx Par Sab Kuch Bikta Hai. Basically Hamare Pass Koy Bhi Saman Purani Ho Jane Ke Baad Istemaal (Use) Karne Ki Maan Nhi Karta. Our Ham Sochte Hai Kaise Old Saman Ko Sale Kare Wagaira,
olx par old products sell kaise kare - www.solutioninhindi.com

Lekin Abhi Aysa Ho Giya Hai Ke 50% Se Bhi Jiyada Log Koy Kisi Se Maatlab Nhi Rakhta. Sabke sab Apne Kam Me Busy Rahte Hai. Yaar Kuch Sale Karne ke liye Hamare Jan Pahchan Jiyada Hona Chahiye. Lekin Kabhi Kabhi Jaan Pehchan Hone Par Bhi Hamare Saman Jhatse Bech Nhi Pate. Toh Hota Ye Hai Woh Old Saman Hamare Pass Pade Rahke Khatam Ho Jate Hai. Agar Apke Sath Bhi Aysa Kuch Hai Toh Olx Par Old Products Sell Kaise Kare – Solution In Hindi Iss Article Ko Dhayan Se Padhte Rahe. Kyu Ki Olx Se Aap Apke Nearest City Par Asani Se Koy Bhi Old Saman Ko Internet Se Jaldi Sell Kar Sakte Hai. Olx Pe Bechna Hai Toh Chale Jante Hai What Is Olx In Hindi.

Table of Contents

Olx Kya Hai

Dosto Olx Ek Sell & Buy Company Hai Jiske Madad Se Hamare Pade Hye Old Products (Saman) Ko Online Sale Kar Sakte Hai. Jaise – Olx Homes Sale, Mobile Sale, Bike & Car Sale, Etc Other Kuch Sale & Buy (Kharid) Sakte Hai. Agar Kharidenge, Bye Karenge Toh Bhi Old Products Saste Me Karid Sakte Hai. March 2006 Me Ye Company Founded Kiya Giya Hai. Our Iska Karobar Everything Internet Se Hi Hote Hai.

Basically Ye Free Advertising Company Hai. Jis Par Ham Apne Products Sells Karne Ke Liye  Free Advertise Kar Sakte Hai. Olx Ke Founder Hai – Fabrice Grinda And Alec Oxenford, Ye Dono Milkar Banaye Hai. Olx Ka Headquarters Hai New York City.

  • I Hope Ke Aap Olx Ke Bare Me Jan Gaye Honge, (Olx Hindi) Adhik Janne Ke Liye Olx Wiki Par Click kare. Toh chale jante hai (ओलक्स) Olx me apna purane saman kaise sell karte hai.

    Olx Par Old Products Sell Kaise Kare

    Doisto Olx Par Old Products Bech Na Bhut Hi Aasan Hai Apko Jo Sell Karna Hai Uska Ad Dena Hoga Olx Par. Tabhi Sabko Pata Chalega Ke Aap Kiya Bech na Chahte Hai. Ghabra Ne Ki Koy Baat Nhi Hai Aap Sirf Step Ko Sahi Se Follow Karte Rahe. Olx Par Free Me Ad Submit Kaise Karte Hai. Computer & Mobile Dono Me Karke Dekhenge.

     #Computer Se Olx Par Free Me Ad Submit Kare:- 

    Step-1

    Sabse Pahle Apko Olx Ke Official Website Me Jana Hai. Yaha Olx Par Click karke Directly Jaa Sakte Hai. Ya Phir Browser Ke URL me Type Kare – www.olx.in

    Step-2

    Olx ke Website par aagye hai toh Right Side Me Submit A Free Ad Par Click kare.
    olx par old products sell ke liye ad submit kare - www.solutioninhindi.com

    Step-3

    Submit a Free Ad Par Click karte Hi Apke samne Kuch Istarah Ke Page open hoke Aayega. Niche Screenshot dekhe.
    computer se olx par free me ad submit kare - www.solutioninhindi.com
    1. Apko Jo Product Sell Karna Hai Uska Title (Name) Dale (70 Characters Ke Ander Hi Hona Chahiye)
    2. Product Ke Category Choose Kare. (Mobile Hai Toh Mobile Or Agar Category Me Apke Sell Product Ke Name Nhi Hai Toh Other Kare.)
    3. Yaha Price Dale. (Product Ke Dam Kitna Chahte Hai Oh Dale)
    4. Description Dale. (Exple: Agar Apko Mobile Sell Karni Hai Toh Mobile Name, Model, Ram, Storage, Warranty Ye Sab Dale Taki Kharidne Wale Ko Samajh Ne Me Aasani Ho)
    5. Sell Karne Wale Product Ke Photos Upload Kare (Note: Original Photos Dalna Hoga. Internet Se Download Wagaira Nhi Chalega.)
    6. Apke Name Dale.
    7. Mobile Number De Jo Apke Pass Available Hai. (Kyu Ki Yaha Jo No Add Karenge Oh Number Par Verication Karega. Or Koy Coustomer Apko Message Ya Call Karega Toh Yaha Diye Gaye No Me Hi Aayega.)
    8. Yaha Apke City Name Dale.
    9. Apke Locality Dale (Nearest Place)
    10. Uper Diye Gaye Sabhi Open Ko Check Kare Sab Thik Dale Hai Ke Nahi. Agar Sab Sahi Hai Toh Finally Submit Par Click kare.

    Step-4

    Submit Par Click karte Hai Kuch Seconds Wait Kare. Apke Mobile Number Jo Add Kiye Us Par 4 Digit Ke Verification Code Ayega.
    Code Ko Daal Ke Continue Par Ok Kare.
    olx par old products sell ke liye no verification kare- www.solutioninhindi.com

    Step-5

    Continue Par Click Karte Hi Apke Ad Successful Ho Jayega.Kuch Istarah –
    olx free ad posted submit successful - www.solutioninhindi.com
    1. View Ad Par Click Karenge Toh Jo Post Kiye Oh Dekh Payenge.
    2. Share On Facebook Par Click Karke Share Kar Sakte Hai.
    • Computer Me Olx Ad Post Kaise Karte Hai. (Computer Me Olx Kaise Use Kare) Oh Jangaye Ab Mobile Se Olx Par Ad Post kaise Karte Hai Oh Janenge.

     #Mobile Se Olx Par Free Me Ad Submit Kare:- 

    Dosto Agar Aap Soch rahe Hai.  Mobile Me Olx Kaise Use Kare.  Janne Ke Liye Niche Diye Gaye Step Ko Sahi Se Follow Kare.

    Step-1

    Sabse Pahle Aap Apke Mobile Me Olx Apps Download Kare. Niche Link Se Kar Sakte Hai.

      Download Olx  

    Step-2

    Olx Download Ho Gaya Hai Toh Mobile Me Olx Install Karke Open Kare.

    Step-3

    Open karte hi apke samne kuch is tarah ke page open hoga.
    mobile me olx open karke login kare - www.solutrioninhindi.com
    Yaha Apko Olx Account Login karne ke liye  3 Open milega Apko jisse login karna hai kar sakte hai.

    Step-4

    Login Karne Baad Apko Apke Nearest Jo City (Locality) Ke Location Hai Usko Select Karna Hai.
    olx mobile me sell ke liye location select kare.
    1. Select Location Par Click kare.
    2. Ab Apko Apke City Ke Name Likhke Search Karke Add Kare.

    Step-5

    Location Set Kar Liye Hai Toh Apb Apko Jo Old Saman Ko Sell Karna Hai Woh saman Apke Samne Rakhe.
    olx par mobile se products ko sell karne ke liye photo upload kare
    1. Ab Aap Sell Ki Button Par Click Kare.
    2. Sell Ki Button par Click karte hi apke mobile Camera On ho jayega. Ab jo saman sell karne ke liye rakhe hai uske 3-4 Photo Click karke Upload Photo par click kare.

    Step-6

    Sell Products Ke Photo Upload Ho Giya Hai Toh Ab Apko Price Dena Hai.
    olx par sell karne ke liye price and category choose kare
    1. Yaha Apko Jo Saman Sell Kar Rahe Hai Uska Kimaat (Rs) Kitna Chahte Hai Dalke Set Price Par Click kare.
    2. Sell Products Ke Category Choose Kare.

    Step-7

    Product Category Select Kar Liye hai toh ab apko Description Dena Hai. Example Niche Screenshot Ke Sath Samjhe.
    sell products discription deke post ad par ok kare - www.solutioninhindi.com

    1. Choose Category: Jo Aap pahle hi Choose kiye the. (Agar Nhi Kiye Hai Toh Yaha Click karke Karle)
    2. Price: Agar Aap Sell Product Ke Price (Rs) Nhi Diye Hai Ya Phir Change (Edit) Karni Hai Toh Yaha Click Karke Kar Sakte Hai.
    3. Description: Ye Option Bhut Hi Important Hai. Yaha Apko Saman Ke Bare Me Batana Hai. (Example: Agar Aap Mobile Sell Kar Rahe Hai Toh – Mobile Ke Model, RAM, Storage, Camera Etc. Kuch Iss Tarah Apko Description Dena Hai.) 
    4. Uper Me Sab Kuch Dal Diye Hai Toh Ab Aap POST YOUR AD Par Ok Kare.


    Step-8

    Post your ad par ok karne ke bad agar mobile no verify karne kahe toh niche dekhe.
    1. Mobile Number Verification Karne Ke Liye No Dale.
    2. No Daal Diye Hai Toh GET OTP par click kare.
    3. Kuch Der Wait Kare, Yedi Aap Jo No Apke Mobile Me Abhi Laga Hya Hai Toh Automatically Code Aajayenge. Nhi Toh Message Check Kare Phir 4 Digit Ka Code Hoga Usko Yaha Dale.
    4. Code Aa Jane Par Verify Par Click Kare.

     Note:- 

    •  Agar Verification Code Nhi Aa Rahe Hai Toh RESEND CODE Par Ok Karke Kuch Der Wait Kare.
    • Yedi Phir Bhi Nhi Aaye Toh GIVE A MISSED CALL TO VERIFY Par Click Karke Verify Kar Sakte Hai.

    Step-9

    Uper Bataye Gaye Sabhi Step Complete Kar Diye Hai Toh Iss Tarah Ke Page Open Hoga.
    mobile me olx par sell ad submit successful - www.solutioninhindi.com
    Apke Ad Post Successfully Update Ho Giya Hai Active Hone Ke Liye 10 Lag Sakte Hai.
    I Hope Ab Ap Jangaye Honge Mobile Se Products Sell Ke Liye Ad Post Kaise Karte Hai (Mobile Me Olx Kaise Use Karte hai.)

    Ye Bhi Padhe:-

    Ummed Hai Ye Post Apke Liye Helpful  Rahega. Yedi Apko Ye Post Pasaand Aaya Hai Toh Social Media Par Apke Friends Ke Sath Jarur Share Kare. And www.SolutionInHindi.com Ke Update apne Email par Lene Ke Liye Subscribe Kare. Other Social Media Ke Sath Connection Karne Ke Liye Diye Gaye Link Par Jaa Kar Kar Sakte Hai.

    Olx Pe Bech De Rahe And SolutionInHindi par Visit Karte Rahe. Agli Post Me Bataunga Quikr par Old Products Sell Kaise Kare. and (Olx Se Paise Kaise Kamaye) 
    Thank You…

    पिछला लेखComputer Me WhatsApp Kaise Chalaye – Full Guide
    अगला लेखZip File Kya Hai – Puri Jankari Hindi Me
    मेरा नाम मुहम्मद बदिरुद्दीन है। मैं एक पेशेवर वेब और सॉफ्टवेयर डेवलपर, एथिकल हैकर, डिजिटल मार्केटर और भारतीय ब्लॉगर हूँ! मुझे लोगों की मदद करना बहुत पसंद है। इसलिए SolutionInHindi.com पर एथिकल हैकिंग, कंप्यूटर, मोबाईल, इंटरनेट, सोशल मीडिया, टिप्स और ट्रिक्स और टेक्नोलॉजी सम्बंधित ट्यूटोरियल की पूरी जानकारी हिंदी में शेयर करता हूँ!

    17 टिप्पणी

    कोई जवाब दें

    कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
    कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें