Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye – Full Guide

Internet Par Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye:

Kya aap chahte ho apke click kiye hua “Photo sell karke paise kaise kamaye”  Matlab Photos ko bech ke paise kamana. Yani photo bech kar paise kaise kamaye? Agar ha toh aap is post ko acche se padhe. Isse aap online photo bech kar asani se unlimited paise earn kar sakte ho.

Abhi ke time me lag bhag har kisi ke pass Android phone ya DSLR camera hai. Aur photography me interest rakhte hai. Agar apko bhi photography me interest hai. Ya aap khud ek photographer hai. Ya phir acchi photo phone se hi capture kar leto ho. Toh ye post apke liye hai. Kyu ki “Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye” is article par apko step by step complete guide diye gaye hai. Jisse asani se online photos bech kar paise kama sakte ho.
Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye
Agar aap student hai. Aur Online paise kamane ke liye koi behtarin, Ya sabse easy Tarika dhund rahe ho. Toh mere khayal se “Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye sabse top list par hoga. Apko sirf photo click karne me interest hona chahye. Aur thoda bhut photography ka knowledge. Agar nahi bhi hoga toh bhi chalega. Apko bas acche se photo click karna ana chahiye. Dhire dhire khud sikh jayenge.

Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye | Sell Your Photos Online and Make Money

Jaise ki ham sab jante ha abhi ke time me internet kitna useful hai hamare liye. Jiase ham chahte hai wayse hi internet ko kam me laga sakte hai. Internet par bhut sare website hai. Jahase ham asani se koy bhi photo ko online photo bhej kar paise kama sakte hai.
Ab ap soch rahe honge. Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye? iske liye toh camera ki jarurat hai. Par main apko bata du agar apke pass mobile hai. Aur aap acche photo click kar lete ho. Toh starting me apko camera lene ki jarurat nahi hai. Apko sirf ayse photo click karna hoga. Jisko dekhke koy bhi impress ho jaye. Matlab sara kheel photo ka hai. Apko sirf good quality ka photo shot karna hoga.
Toh chale details se jante hai. Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye. Aur Kis type ke photo sell kar sakte hai. kaha, kaise photos ko sell kar sakte hai. Or 1 photo ka kimat kitna milega.

Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye – Step by Step Guide

Internet par Online photo sell karke paise kamana bhut hi asan hai. Apko sirf sahi jankari ki jarurat aur woh apko is article par sari information details me bataye gaye hai. Sirf carefully read karna hai. Aur agar kahi samajh me na aye. Toh pehle thik se is article ko padhe. Phir niche comment box me jake apna question puche.
Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye? usse pehle ham jan lete hai. Kis types ki photos ko internet par upload karke paise kama sakte hai.



Kis Types Ki Capture (Clicked) Photos Sell Kar Sakte Hai?

  1. Working time. Matlab kisi kam karte time click kiya hua photos.
  2. Cities best places. Kisi sahar ki popular jagah ki photos.
  3. Natural and Historical places.
  4. Peoples photos. (Suggested age – 14 se kam aur 50 se upar ki photo jiyada sell hoti hai).
  5. Animals photos. Kisi bhi category ka click kar sakte ho.
  6. Nazdik se liye gaye good quality ka photo, etc.
Aap abhi ke liye in 6 types ki photo se start kar sakte ho. Baki apko age jankari milte rahegi. Ab bat ati hai kaha aur kaise photo ko upload karke sell kare. Yani ‘Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye?

Internet Par Photo Sell Karne Ka Best Top 10 Websites List:

  1. Imagesbazaar.com
  2. Shutterstock.com
  3. Crestock.com
  4. Gettyimages.com
  5. Clashote.com
  6. Alamy.com
  7. Fotolia.com
  8. Foap.com
  9. iStock photo.com
  10. Instagram.com
In sabhi website, se aap photo upload karke asani se paise kama sakte ho. Aur bhi kay sare website hai. Par abhi ke liye bas itna hi. Next article me jitna bhi top sites hai sare list add kar Dunga. Update rahne ke liye FB Page Like kare. toh ab baat ati hai in sare website hame kyu paise dega. Aur dega bhi toh kitna percentage dega.
text ads

Online Photo Selling Websites Work Kaise Karta Hai?

Kuch PhotoStock website hai. Jaha account creates karne ke baad aap se 10 photos upload karne bolega. Aur woh photo quality apko kamse kam 5 Megapixel ka upload karna padega. Agar apke photos capture quality high hoga. Toh apke account Approve karega. Aur apke photos ko unke company ki website me. Photos ke hisab se price tag laga ke site par add kar dega.
Aur jab apke photo sell ho jayega. Tab price me se apko 70-80% paise transfer kar dega. Aur 20-30% paise woh company rakh lega. Issi tarah photo selling website (Companies) work karta hai. Aur ye genuine hai. Matlab koy Frode wali baat nahi hai. Sabhi website par bhut share professional photographer work karta hai. Aur paise kamate hai. Yani jo bhi online image sell karke paise kamate hai. Woh logn isi main se kisi website se kamate hai. Ya phir khud ka website banake. Lekin Website process main thoda taf hota hai photo sell karna.
Toh chale ab ham step bu step jante hai ‘How to sell photos online and make money in Hindi‘.



Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye – Step By Step

1. Imagesbazaar

Indian largest images company hai. Iska founder hai Sandeep Maheshwari. Sayed hi hoga ke aap iska name pehli bar sune honge. Kyu ki ye totally free me Youtube par motivational speech deta hai. Imagesbazaar se agar aapko photo sell karna hai. Toh sabse pehle apko ek account create karna hoga. Phir apko kamse kam photo quality 5Megapixel resolution ke 10 Photos upload karna padega.
Agar apke photo upar me bataye gaye photo types me se hai. Aur photo me dam hai. Toh apko approve kar lega. phir apke photo ko sell me laga denge. Jaise hi sell hoga apko uska 70-80% paise dega aur 20-30% Imagesbazaar rakh lega. Isme account create karna bhut hi asan hai. Niche diye gaye steps ko follow kare.




Imagesbazaar Se Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye?

  1. Sabse pehle www.imagesbazaar.com par visit kare, Ya phir play store se app install kare
  2. Site ya App Open Karke Sign up ka option par click kare.
  3. Sign up karne ke liye apke details dalke sign up kare. (Koy fake name ya address na dale apke khud ke oreginal details hi bhare).
  4. Sign up successfully ho jaye. Toh apko 10 photos upload karne bola jayega. Apke captures kiye gaye 10 best photos upload karde. Aur kuch din wait kare apko e-mail mil jayega. Apke account approve hua ke nahi.

photo bech kar paise kaise kamaye

Agar account approve ho jaye. Toh 100% hai apke photo sell ho jayega. Kyu ki imagesbazaar bhut hi popular website hai. Apko sirf wait karna padega. Sell hote hi 70-80% paise apko mil jayega. Issi tarah aap imagesbazaar se photo sell karke paise kama sakte hai. Aur ha best quality ka photos captures karte rahe. Aur upload bhi karte raho.
 Note:  Quality images hi sirf upload kare. Accha lagna chahiye thoda professional type ke editing bhi kare. Lekin aysa nahi ke kahi se kuch copy, cut past karke edit karenge. Images ko editing kar sakte ho. Lekin koy cut past nahi chalega. Warna apke account dubara Kabhi review Nahi Karega. Agar apko edition Nahi aata hai. Toh Thoda bhut professional editing bhi sikhe.

2. Shutterstock Se Paise Kaise Kamaye?

Agar aap ek quality photographer hai. Toh apke liye ye website best hai. Kyu ki world ke photographer jiyada tar ShutterStock par photo sell karke paise kamate hai. Ye bhi bhut hi popular website hai. Aap aankh band karke trust kar sakte ho. Aur ye apke photos quality dekhke Paise dega. Jitne logn apke photo buy karega. Utna apko payment hota rahega. Iska bhi same process hai. Apko pehle ShutterStock app ya website (www.shuterstock.com) par jake account create karna hoga. Phir 10 photos upload karna padega. Jaise hi account Approve hoga. Apke images ke hisab se price tag laga ke sell par laga dega.

Read More: Shutterstock Se Paise Kaise Kamaye Uski Jankari Yaha Hai.

3. Crestock

Online photos sell karne ke liye. Ye website bhi kafi acchi hai. Apko sirf www.crestock.com par jake account create karna hai. Phir apke capture kiye gaye. Best quality ke images ko upload karte rahna padega. Bhut jald Crestock team apke account ke. Sare (All) uploaded photos ko reviews karega. Agar apke photo unique hoga. Toh Crestock ke website par price tag lagake. Sell par available kar dega. Lekin ye thoda percentage kam dete hai (30-40%). Aur haan upload karne se Pehle photos ko edit jarur kare.

4. Gettyimages

Gettyimages bhi Worldwide photo seller website me se bhut hi badhiye site hai. Aap iska bhi use kare. Agar aap Blogger type ke photos acchi click kar lete hai. Jaise agar apko mobile phones ya laptop/computer par work karte time. Acchi quality ke photo capture kar sakte ho. Toh ye website apke liye best sabid ho sakte hai. Jiyada tar bloggers ya internet marketer apne content related image Gettyimages se buy karta hai. Is par account create karna bhi simple hai. Apko sirf www.gettyimages.com par jake sign up par click karke. Apna original details dalke profile banane ha. Phir photos upload karte rahe. per image sell price 30-40% apko dega.

5. Clashot.com

Clashote website (www.clashot.com) ya App par aap apna account create karke. DSLR ya Phir apke Smartphones se click kiye gaye image ko Easly upload kar sakte hai. Iske bad per photo sell par apko 0.50 dollar se lekar $80 dollar tak paise kama sakte ho. Clashot website internet se online paise kamai karne ka bahut easy tarika hai.

6. Alamy.com

Alamy bhi Worldwide photo seller website me se ek hai. Aur ye bhut hi simple hai. Koy bhi asani se use kar sakta hai. Agar apko Alamy par account create karna hai. Toh www.alamy.com par visit karke account sign up kare. Ya phir android app play store se download karke asani se istemal kar sakte ho. Ye bhi apko acchi khasi commision per photo sell par dega.

7. Fotolia.com

Fotolia largest international images seller marketplace hai. Agar apke pass camera hai. Jiase DSLR ya SLR toh apke liye Fotolia sabse best place ha. Apke captures kiye gaye high-quality ke photo ko sell karke paise earn karna. Isse aap 20-70% ki commission paa sakte ho. Aur ye apke photo par depend on karta hai. Apke photo quality kaise hai. Toh jitna ho sake aap good quality ka photo capture kare. Fotolia se photos buyers millions me hai. Issi liye sell hone ki chances bhi bhut high hai. Fotolia par account banane ke liye. Aap simple iska official website (www.fotolia.com) par jake profile bana ne hai. Ya phir android app se bhi kar sakte ho.

8. Foap.com

Foap par aap asani se apne photo ko upload karke sell karwa sakte ho. Per photo par apko normally $10 Doller milega. But agar apke photo high-quality ke hoga. Toh paise bhi jiyada hoga. Apke image par depend karta hai. Toh simple aap Foap aap paly store se download kare. Ya phir www.foap.com par jake apna account create kare. Aur photo bhej kar paise kamaye. Ye bhi bhut hi popular image seller me se ek hai.

9. iStockphoto.com

iStockphoto World’s largest creative community me se ek hai. Aur ye Photographer ke liye bhut hi best hai. iStockphoto par Dunia bhar ke logn image buy Karte hai. Kafi simple process hota hai. Or ye photo quality par paise dete hai. Matlab agar apke photo quality kam hai. Toh apko low income hoga. Aur quality high hai toh jiyada paise milega. Isme account banana bhi same process hai android app. Ya phir official website – www.istockphoto.com par jake profile banaye. Phir image upload kare. Issi tarah internet par Online photo sell karke paise kamaye.

10. Instagram Se Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye?

Jaise ki aap jante hi honge. Abhi ke time me Instagram par har ek person account create karke. Photo upload karte hai. Lekin agar aap chahe toh isse bhi paise kama sakte ho. Apko sirf Instagram par jiyada se jiyada flowers badhane honge. Aur jab followers increase ho Jaye. Tab aap khud ka store create karke. Wahase photo sell kar sakte hai. Aur apke man mutabik paise le sakte hai.

Conclusion: Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye

Internet par online photo sell karke paise kamana bhut hi asan hai. Apko sirf high-quality ke photo capture karna padega. Aur editing bhi factor rakhte hai. Bataye gaye photo sell karne wale. Top 10 website me photos upload karne se pehle. Images ko professional type ki editing jarur kare. Lekin koy cut, past galti se bhi na kare. genuine tarika se work karenge toh. Aaj Nahi toh Kal. Aap jarur successful photographer and Online photo seller ban Jayenge.
Ummid karta hu! Apko “Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye” puri jankari details se mil gaye honge. Agar apka koy sawal hai. Toh niche comment karke hame jarur bataye. Jitna jaldi possible hoga. Apko jawab mil jayega.

Ye Bhi Padhe:

Solution In Hindi Ke Sath Update Rahne Ke Liye. Abhi  SUBSCRIBE  Kare. And Other Social Link Yaha Hai- Facebook Group Twitter | LinkedIn | Facebook Page
Friends Computer, Mobile, Earn Money, Social Media, Facebook, YouTube, WhatsApp, Technology News & Internet Ki Puri Jankari Hindi Me Sikhte Rahe. Or Dusre Ko Bhi Sikhate Rahe.
पिछला लेखXiaomi Redmi Mi Phone Ka Lock Kaise Tode
अगला लेखLink Share Karke Online Paise Kaise Kamaye
मेरा नाम मुहम्मद बदिरुद्दीन है। मैं एक पेशेवर वेब और सॉफ्टवेयर डेवलपर, एथिकल हैकर, डिजिटल मार्केटर और भारतीय ब्लॉगर हूँ! मुझे लोगों की मदद करना बहुत पसंद है। इसलिए SolutionInHindi.com पर एथिकल हैकिंग, कंप्यूटर, मोबाईल, इंटरनेट, सोशल मीडिया, टिप्स और ट्रिक्स और टेक्नोलॉजी सम्बंधित ट्यूटोरियल की पूरी जानकारी हिंदी में शेयर करता हूँ!

2 टिप्पणी

कोई जवाब दें

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें