Facebook Account Hack Hone Ke Baad Kya Kare | Security Tips

Facebook Account Hack Hone Ke Baad Kya Kare (What to Do If Your Facebook Account Is Hacked): Friends, Aaj hum log bohut hi Important topic ke bade me baat karne jaa rahe hai aur woh hai Facebook Account Hacked Hone Ke Baad Kya Kare.

Kabhi na kabhi aap logon ne zarur suna hi hoga ki koy hacker ne kisi celebrity ke facebook account ko hack kar liya hai. Aur ye ek aam insaan ke account ko bhi koi hack kar sakta hai.

Actually iske piche bohat sare wajah (reason) ho sakta hai, Jaise Apke bank ke password, personal Information ya fir online retailers ke bade me janne ke liye ho sakta hai.  In sab ke alawa apke facebook account ko spam sharing ke liye istemal (use) karne ke liye bhi ho sakta hai.

Facebook account hack hone ke baad kya kare
Facebook Account Hack Hone Ke Baad Kya Kare | Facebook Security Tips in Hindi

Friends sabse pehle apko pata karna hoga apke fb account hacked hua hai ya nhi. Toh chale iske bare me details se jante hai.

Facebook Account Hacked Hua Ha Ya Nahi Kaise Pata Kare:

Friends Facebook account login karne ke baad agar apke account me koi bhi changes dekhte hai. jo apne nhi kiye hai, Jaise ke Apke name badal diya gaya hai,  Email id, password, Birthday naya add kiya gaya hai.

Ya fir apke jankari ke bina Kisi ko koi Message send hua hai, friend request bheja gaya hai apke id se, Ya phir apke timeline pe koi post hai jo apne nahi kiya hai.

Agar aap yeh sab Activities dekhte hai toh turant aap Setting me jaa ke Security option me click kare Aur iske baad ‘Where you’re logged in‘ ka option ayega uspe click kare.




Yaha aap kaha kaha se log in hue the ya phir abhi konsa location se active hai woh show karega, Agar kisi device ko aap recognize nahi kar paa rahe toh apke account sayad hacked ho chuka hai.

Friends agar apke account hack ho gaye hai toh aap iss post ko end tak carefully read kare. Toh chaliye jante hai fb id hack ho jane ke baad account ko kisi bhi hacker se recover kaise kare. What to do if your Facebook account is hacked

Facebook Account Hacked Hone Ke Baad Kya Kare:

So friends kaise kisi bhi hacked facebook account ko recover karenge uski jankari niche point by point de diye gaye hai aap sirf carefully read karke implement kare:




#1. Change Your Facebook Password

Account Hacked hone ke baad Password change karna bohat zaruri hota hai. Agar aap dekhte hai ki Apka pehle wala Password se hi aap log in kar kar paa rahe hai toh iska matlab hai hacker ne apka password change nahi kiya hai.
Aur aap asani se apna password change kar sakte hai, Agar apko fb password change karna nhi ata hai toh ye post padhe – Facebook Ka Password Kaise Change Kare Uski Jankari Yaha Hai

 

Note: Yedi aap login nahi kar paa rahe ho toh fb login ke home page par niche ek option ayega “Forgot your password” yaha click kare, iske baad apko sahi sahi information dena hoga, Jaise account me resister kiya gaya phone no.

Email address ya fir apke username, Agar name nahi toh apke kisi dost ke name dale jo apke fb friend list me hai.

#2. End The Intruder’s Session

Isse apke jankari ke bina jaha se bhi Apke Facebook Account logged in hua hai. Woh sab devices se apke id ko logout kar sakte hai.

Iske liye apko End Activity pe click karna hoga. Kuch der ke liye hi sahi lekin isse aap fir se apne account ko secure karne ke baad apna control wapas paa sakte hai.

#3. Alert Your Contacts

Apka Account hack hone ke baad Hacker ne apke friends ko bhi koi links ya fir koi App install karne ke liye bol sakta hai, Aur yeh facebook messages, Wall posting, Facebook email ke jadiye se send kar sakta hai.

Apke sabhi facebook friends ko zarur Alert kar de ki send kiye gaye kisi links ya Apps ko Open ya Install na kare.

#4. Malicious Apps Ko Remove Kare

Iske liye apko setting me jana hoga aur niche ek Apps ka option ayega, Apps par click karne ke baad apko ek list dekhne ko milega, Agar koi bhi app hai jo apne add nahi kiye ho toh turant use remove kar dijiye.

#5. Facebook Account Ko Secure Kare

Friends fb account ko secure karne ke liye hamesha unique password hi use kare, Aur ek hi password sabhi account ke liye kabhi use na kare. Agar aap Computer se fb use karte hai toh apke pc me paid Anti-Virus zaror install rakhe.

In sab ke Alawa kuch aur bhi cheezein hai jo apko dhyan me rakhna chahiye, Uski jankari yaha details se diye gaye hai – Facebook Account Ko Safe Kaise Rakhe Top 5 Secret Tips.




#6. Report Your Compromise Facebook Account

Agar aap dekhte hai ke apke account se kisi tarah ke Ads ya Spam send kiya gaya hai toh aap isse As a Compromised report fb par submit kar sakte hai.

Report karne ke liye yaha Facebook Hacked par click karke Report send kar sakte hai. Iske baad iss pareshani ko dur karne ke liye Facebook apko aur instructions bhej dega.

  • The post Helping By Mrinmoy Das 🙋

Also Read:

Conclusion

Ummid Karta Hu Apko Ye Article (Facebook Account Hack Hone Ke Baad Kya Kare) Helpful Laga Hoga. So Apne Friends Ke Sath Social Media Par Share Karna Na Bhule.
Is Article Me Bataye Gaye Steps Ko Follow Karke Aap Asani Se Kisi Bhi Facebook Hacker Se Safe Rah Payenge. Agar Apka Account Hack Hua Hai. To Sabse Pehle Apna Password Change Kare.
Solution In Hindi Ke Sath Update Rahne Ke Liye Abhi SUBSCRIBE Kare. And Other Social Link: Facebook Group |Twitter | LinkedIn | Facebook Page | Pinterest | Join Kare.
Facebook Ki Puri Jankari Hindi Me Sikhte Rahe Or Dusre Ko Bhi Ye Post Share Karke Sikhne Me Madad Kare.
Published on: Nov 9, 2017, at 11:00
Update on: Dec 01, 2019, at 8:42 PM
पिछला लेखFacebook Creator Kya Hai (What Is Facebook Creator In Hindi)?
अगला लेखFacebook Account Safe Kaise Rakhe [Top 5 Secret Tips 2020]
मेरा नाम मुहम्मद बदिरुद्दीन है। मैं एक पेशेवर वेब और सॉफ्टवेयर डेवलपर, एथिकल हैकर, डिजिटल मार्केटर और भारतीय ब्लॉगर हूँ! मुझे लोगों की मदद करना बहुत पसंद है। इसलिए SolutionInHindi.com पर एथिकल हैकिंग, कंप्यूटर, मोबाईल, इंटरनेट, सोशल मीडिया, टिप्स और ट्रिक्स और टेक्नोलॉजी सम्बंधित ट्यूटोरियल की पूरी जानकारी हिंदी में शेयर करता हूँ!

1 टिप्पणी

कोई जवाब दें

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें