Blocked SIM Card Ko Unlock Kaise Kare [Detail Guide]

Blocked SIM Card Ko Unlock Kaise Kare (How to Unblock a SIM Card in Hindi): Agar aap phone user hai, aur apke phone ko secured karne ke liye SIM PIN security features activate karke PIN bhul gaye hai. Aur wrong PIN enter karne se kya apke SIM card Blocked ho chuka hai?. Aur janna chahte hai “Mera SIM Blocked ho gaya hai, Blocked sim ko kaise khole?

Agar apka jawab “ha” hain to aap sahi jagah par aaye ho. Aaj iss article me apko janne ko milega, kaise aap kisi bhi Blocked SIM card ko Unlock (Open) karenge.

Phone ko secured rakhne ke liye cell phone companies dwara PIN lock security features provide karti hai. Jisse aap phone ko unauthorized use se safe rakh sakte hai.

Aur Phone me store kiye personal chize jaise ki photos, videos, call details, etc ko safe rakh pate hai. To aiye pehle PIN Lock kya hota hai? thoda samjh lete hai.

PIN Lock Kya Hai – What is SIM Card Pin Lock Hindi

Apko sayed pata hi hoga Phone’s PIN ek storage unit hota hai kisi SIM card me. PIN ka full form “Personal identification number” hai. Aur is security ki wajahse SIM card ko stolen (chori) hone se protect karta hai. Aur apke permission ke bina koi use access nahi kar payega. Details me janne ke liye SIM PIN Code kya Hai? yaha puri jankari hai.




Agar apke phone me “PIN Security function” support karta hai. Toh feature activate karne ke baad apko PIN enter karna hoga, SIM card ko unlock karne ke liye. Jitne bar apke phone ko Start karenge.

lekin agar aap three (3) times incorrect PIN (password) enter karne se apke SIM locked ho jata hai. Aur SIM Card ko unlock karne ke iske liye apko correct PIN code enter karna hoga.

Ya apke carrier jo unique PUK code jo apke device ke mutabik hoga woh provide karega usse unlock ho jayega.

Toh aiye steps by steps jante hai Kisi bhi Block SIM (Jio, Idea, Airtel, Vodafone, BSNL, Reliance) ko unblock kaise kare.

blocked-sim-ko-unblock-kaise-kare
Blocked SIM Card Ko Unlock Kaise Kare – [SIM Lock Kaise Tode]
Important Note: Blocked SIM Ka PIN Lock Todna Asan He Par Complicated Bhi. Issi Liye Pehle Niche Bataye Gaye Steps Ko Acchi Tarah Se Padhe, Samjhe Phir Apply Kare. Aur Samjh Me Na Aane Par Hamare FB Page Me Pehle Doubt Clear Kare.

Blocked SIM Card Ko Unlock Kaise Kare – [SIM Lock Kaise Tode]

Kisi bhi SIM lock ko hatane ke liye apko bas kuch hi steps ko follow karna hoga, Isse apke Blocked SIM ko asani se khol sakte hai.




#1: Power button ko daaba kar rakhna hoga, jabtak na aapke device completely bandh ho Jaye. Switch off hone ke baad, Phone ko wapas power button dabake ON kare.

#2: Specific security password dhundne ke liye aapko cell phone user manual check Karna paraga. Aur Phone model ke liye locking code check Karna paraga. Security password usually “1234” hota hai. Aur locking code generally “000000” hai. Isse check kare.

#3: Pehele aapke phone keypad se number tap Karke Security password (1234) enter Kare. Aur thodi der wait kare, aapke Sim card ka block massage disappear huya ki nehi. Yani password incorrect ke massage aaye ki nehi.

#4: Aagar aapke SIM card already block mai hai. Toh locking code (000000) type Karo aur wait Karo ki aapke phone screen se message removed huye ki nehi.

Note: Aagar aapke message “PUK LOCK” ki waja se change ho jaaye. Toh aapko call Karke help lena hoga cellular service provider (customer support line) pe. Customer service aapko ek correct PUK code pradhan karaga aapke phone ke hisab se. Isse apke Blocked SIM card successfully Unlock ho jayega.

Read More Useful Article:

Conclusion

Agar Aap Phone Me PIN lock Security Features Use Karte Hai. Apke Phone Ko Fully Secured Rakhne ke Liye, Aur Incorrect Code Enter Karne se Apke SIM Card block ho Jaye.

Toh Ab se Aap “Blocked SIM Card Ko Unlock Kaise Kare” Is Article Me Bataye Gaye Steps Ko Acchi Tarah Se Follow Karke Asani Se SIM Lock tode Sakte Hai.

Mujhe Ummid Hai Apke Liye Ye Article Bhut Helpful Raha Hoga. Aiye Aur Interesting Tips and Tricks Ke Liye E-mail Subscribe Kare.

Aur Other Social Site Join Kare: Fb Group, Instagram, LinkedIn. Twitter. Aur Is Article Ko Apke Dosto Ke Sath Abhi Facebook aur WhatsApp Par Share Kare.

पिछला लेखIdea FREE Caller Tune Activate Kaise Kare [100% Working]
अगला लेखSIM PIN Code Kya Hai – What is SIM PIN Code in Hindi
Hey Guys, I am Beli Singha. Mujhe Mobile And Technology Me Bhut Interest Hai. Isliye Solution In Hindi Pe Tech Se Related Tips and Tricks Hindi Me Share Karti Hun!

कोई जवाब दें

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें