SIM PIN Code Kya Hai – What is SIM PIN Code in Hindi

SIM PIN Code Kya Hai (What is SIM Card PIN Code in Hindi)?: Yedi aap SIM PIN code ya lock ke bare me nahi jante hai. Aur SIM lock security protection ke bare me janna chahte hai.

Jaise ki SIM PIN code kya hota hai? SIM PIN Code kyun use kare?. Aur SIM PIN lock secured hai ya nahi?. Iske bare me apko puri jankari janne ko milegi.

Dosto, Sayed apko pata hoga, 3GPP (3rd Generation Partnership Project) organization dwara banaye gaye mobile phone ko secured rakhne ke liye, Jiyadatar mobile phones me SIM lock protection features offer karta hai.

SIM Card ek chhota sa plastic se bana huya memory chip hai. Iss chip ke number se aapke mobile operator ki pehechan hoti hai.

Isse ham duniya ke kahi bhi jagah me phone call kar sakte hai, Internet subscribe pack recharge karke Internet use karte hain.

SIM-PIN-CODE-KYA-HAI (SIM-PIN-LOCK-HINDI)
SIM PIN Code Kya Hai – What is SIM PIN Code in Hindi

Aur SIM card ka full formsubscriber Identify module” ya “Subscriber Identification Module” hai. Yaad rakhne ke liye short me SIM rakkhe gaye hai. Toh aiye SIM PIN kya hota hai? thoda bistar me samjhte hain.

SIM PIN Code Kya Hai – What is SIM Card PIN Code in Hindi

Doston, SIM PIN code ek security layer hai. Aur PIN Code ka full formPersonal Identification Number) hoti hai. PIN Code 4-8 digit ka number ka ho sakti hai. Aur iska upyog user Authentication ke liye kiya jate hai.




Doston, SIM PIN (Personal identification number) ek unique access code hota hai. Jisse SIM card lock karne ke baad aap PIN key se mobile phone ko unlock kar payenge. Aur Mobile switch on Karne ke samay aapko PIN code enter Karna hota hain.

SIM-PIN-CODE-LOCK
Mobile phone asking for the PIN Code

Yani SIM PIN ek aysa code hai jiske madad se aap phones ko SIM duwara protect kar sakte hai. Jisse apke permission ke bina koy access nahi kar payega.

Agar koi three (3) times incorrect pin enter karte hain. To apke SIM card ya device locked ho jayega. Phir pin verification lock todne ke liye customers care se baat karke PUK/PUC code lena padega. PUK Code Kya Hai? Puri jankari jane.

Toh Aiye SIM PIN secure hai ya nahi iske bare me thoda jan lete hai.

Kya SIM PIN Lock Secure Hai?

‘Yes’ SIM PIN security apke phone me rakhe personal information ko secure rakhte hai. SIM PIN Lock protection apko sirf three (3) times wrong pin enter karne ki permission deti hai.

Agar aap adhik bar incorrect pin enter karenge to apke SIM or device automatically locked ho jayega. Isse agar apke phone kahi kho jaye ya koi choree ho jaye. To apke phone access nahi kar payega PIN lock ke wajahse.

Aur wrong Sim pin enter karega to Screen par ek puk code enter Karne ka space dekhai ga. PUK/PUC code SIM customers se baat karne ke baad hi PUK code milaga.

So agar phone koi choree karta hai toh Apke phone ko lock unlock nahi kar payega. Aap 10 baar koi Puk code use karke phone ko unlock kar sakhte ho.

I hope yeh option mere all reader k liye helpful honge.

Kiya SIM PIN Zaroori Hai Hamare Liye?

Yes dost hum sobhi k liye Sim card secure zaroori hai. Sim pin sobhi Sim card pe hota hai. Aap optional pe Sim pin ko rakh sakhte ho.

Agar aapke phone chori ho jàate hai ya kho jaate hai, aapke phone kohi chura ke Sim card ko misuse ke liye istemal na karna chahata hai. toh wo Sim card jab bhi kisi ke phone pe dalenge toh wahape ek password mangega.

Agar us user k paas aapke diya huya password pata nehi hai. toh woh Sim card Ko operate nehi kar payenge.

SIM card ko koi misuse na karle, khone se ya chori hone pe toh aap aisa condition pe Sim card pin lock ka istemal kar sakhte ho.

All Mobile Network Default SIM PIN Lock List

Yaha diye gaye default SIM PIN se aap phone ko unlock kar sakte hai, Agar aap pehle PIN Lock nahi lagaye hai toh. Agar kam na kare toh Apke SIM Customers care me call karke Puch sakte hai “Mera SIM PIN Code Kya Hai.

SIM Network

Default SIM PIN Code

JIO 0000 OR 1234
VODAFONE 0000
IDEA 1234
AIRTEL 1234
BSNL 0000
RELIANCE 0000
TATA DOCOMO 1234
AIRCEL 0000

Don’t Miss: Kisi Bhi Mobile Ka Pattern Lock Kaise Tode

SIM Lock Kaise Lagaye – Setting up the SIM Lock in Hindi

Yaha bataye gaye steps ko follow karke aap SIM PIN lock Protection laga sakte hai. Follow these steps:




  1. Sabse pehle Settings me jaye.
  2. Settings ke More option me tab.
  3. Ab Security par tab kare.
  4. Yaha Set up SIM card lock par click kare.
  5. Default SIM PIN Enter kare.
  6. PIN dalne ke baad OK par tab kare.
  7. All Set! Apke PIN code set (activate) ho gaye hai.

SIM PIN Lock Kaise Change Kare – Change PIN Code in Hindi

Settings ke Security me jane ke baad default Sim pin choose karna, yeh aapke liye better option honge.

Aap pin code change karke new pin choose kar sakhte ho. Jo aapko liye easy hoga. PIN Change karne ke liye Follow these steps:

  1. Tap Change SIM PIN.
  2. Default PIN code enter kare.
  3. Tap OK.
  4. Prompted hone ke baad, New Four-digit PIN enter kare.
  5. Tap OK.
  6. Phir New four-digit PIN ko enter karke Confirm kare.
  7. Tap OK.
  8. All Done! Apke PIN code change ho chuka hai.

Read More Useful Telecom Tricks:

Conclusion

Dosto SIM PIN Code bhut hi important hai kisi bhi mobile phones ya SIM card ko safe aur secured rakhne ke liye. Isse apke personal information surakshit rahega. Phone khone ke baad bhi apke SIM aur phone ko PIN code ke bina access karna bhut muskil hoga.

Mujhe ummid ha apko is article me SIM PIN Code Kya Hai? Aur iska kam ke bare me puri jankari mil gaye honge. Agar apke koi sawal hai. Toh hamare FB Page par message kare.

Aur Aysi Telecom tips and tricks janne ke liye hamare social sites (Fb Group, Twitter) abhi join kare. Sath me Facebook or WhatsApp par is article ko share Zaroor kare.

पिछला लेखBlocked SIM Card Ko Unlock Kaise Kare [Detail Guide]
अगला लेखJio PUK Code Kaise Tode [PUK Code Kaise Khole]
Hey Guys, I am Beli Singha. Mujhe Mobile And Technology Me Bhut Interest Hai. Isliye Solution In Hindi Pe Tech Se Related Tips and Tricks Hindi Me Share Karti Hun!

कोई जवाब दें

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें