Jio PUK Code Kaise Tode [PUK Code Kaise Khole]

Agar apke jio phone me PUK Code lag gaye hai. Aur aapko nahi pata ki Jio PUK Code Kaise Tode (Jio Phone Ka PUK Code Kaise khole Kare)?. Toh yeh article apke liye hai.

Jee-han dosto Reliance Jio Sim ka PUK code kaise tode? aur puk code kaise pata kare? jisse apke JIO sim ka PUK lock unlock kiya jaa sakta hai.

Jio PUK Code Kaise Tode
Jio ka PUK Code Kaise Tode [PUK Code Kaise Khole]

Yeh sob se easiest & simplest tarika mai aapko batane ja rahi hoon, jo aapke liye bohot helpful hoga.

About Jio:

Dosto, JIO ek “Reliance Jio Infocomm Limited” Telecom network company hai. JIO ka full form “Joint Implementation Opportunities” hai. Aur Mumbai,Maharashtra, India me iska headquarter located hain. Jio 4G LTE services ke sath india ka only VoLTE (Voice over LTE) service provider hai.

All 4G handset mein yeh reliance Jio samil tha aur all user ko existing kiya tha pehela offer se aanewala offer (4GB FUP- Fair user policy). Aab yeh ek new concept jio prime offer Jo 2020 mai all reliance Jio user ke liye hai.

Dosto PUK ke bare me janne ke liye apko SIM PIN code aur PUK kya hota hai? Samjhna Padega. Toh aiye sabse pehle PIN aur PUK code ke bare me jante hain.

SIM PIN Code and PUK Code Kya Hai?

PIN Code: Yeh ek chota layer ka security hota hai. Apke Sim card ka unauthorized uses ko protect ke liye yeh code 4 numeric digits ka hota hai. Isse aapke choice ke hisab se set ya change kar sakhte hain.

Aur han PIN code se aapke mobile device ka koi relation nehi hoga. Ye sirf security protection code hain. Details me janne ke liye “SIM PIN code Kya Hai?” yaha jaye.

PUK Code: Yeh second layer security type hai. Iska used SIM PIN lock ko bypass karne ke liye kiya jata hai. Yani apke sim card ko unauthorized uses se dur karne ke liye.

Yeh code 8 numeric digits ka hota hai. Aur network services provider ke duwara pradan kiya hota ha. PUK code ke bare me details me janne ke liye “PUK Code Kya Hai?” jane.

Yedi apko SIM PIN code aur PUK code ke bare me samjh me aagaye hain. toh aiye ab ham details me jante hai “Jio phone ka PUK Code Kaise pata kare?

Jio SIM Ka PUK Code Kaise Pata Kare.

Reliance Jio Sim card ka PUK code paane ke liye in steps Ko follow kijiye:

  • Reliance sim ka puk code pata karne ke liye sabse pehle 198 ya 1800889999 number pe call kare.
  • Call lagne ke baad apko aapna language choose Karna hoga.
  • Ab customer care se baat karne ke liye option chune.
  • Apko customer care ko batana hai “Mera SIM ka PUK code kya hai”.
  • Jis SIM number ka puk code chahiye woh bataye.
  • SIM se jude sabhi jankari customer care ko bataye. (Name, address, etc.)
  • Jankari confirm karne ke baad customer care se apko puk code provide kya jayega.

Jio PUK Code Kaise Tode [PUK Code Kaise Khole]

Jio puk code kaise khole
Phone asking PUK code

Reliance Jio Sim card me puk lock lag gaye hai. Toh yaha bataye gaye simple & easiest tarika ko follow kijiye, aur jaladi se block Jio Sim card ko unblock kare. aur Jio PUK lock tode:

  1. Jio Customer Care me call kare

    Sabse pehle Jio customer care 198 or 1800889999 (toll free) me call kare.

  2. PUK code puche

    Customer care ko apka number note karaye aur puchiye “mera puk code kya hai?”

  3. Jio sim card verify kare

    Ab customer care se jio sim card ka details manga jayega. Jaise ki apka aadhar number, name etc. Apko correct details dena hai.

  4. PUK code note kare

    Apke sim details verify hone ke baad customer care se apko jo puk code provide kiya jayega. kahi safe copy me likh ke rakhe.

  5. Enter puk code number

    Ab customer care se diye gaye puk code ko apke phone me enter kare.

  6. All set!

    Enjoy!. Itne steps ko follow karne se apke phone me lage PUK code successfully unlock ho chuka hai. New pin set karne ke liye setting me jaye aur PIN lock lagaye. Issi tarah aap Jio sim ka puk lock unlock kar sakte hai.

Online Reliance Jio Ka PUK Code Kaise Pata Kare.

Friends, aagar aap customer care se baat Karna nehi chahate ho. Toh aap jio customer care ki e-mail id [email protected] pe e-mail kar sakhte hain.

Lekin online puk code pane ke liye jayada time lag sakta hai. Reply message paane mein minimum 72 hour lagt hai. Isse aap Online Jio sim ka PUK code nikal sakte hain.

Don’t Miss: Mobile Hacking tricks in Hindi.

Security PIN & PUK Code FAQ’S

Sayed apko pata hi hoga Generally, default jio pin code “0000” / “1234” hota hai. Aapko PUK code milne k baad PIN code ko Modify kar sakhte ho. Agar iss mein aapke default aaye toh aapke mobile screen switch on k baad mobile k current rule ki hisab se aapko 3 baar wrong pin code enter kar sakte hain.

Aur SIM pin lock lagne ke baad sirf puk code se hi phone unlock hoga. Agar aap galat PUK code se 10 baar entering karenge toh apke SIM card permanently block ho jayega.

So jaise hi apse puk code mange turant jio customer care se baat karke pehle puk le phir code enter kare. Block Sim card ko unlock karne ka Yehi ek solution hai.

Also Read More Telecom Tips and Tricks:

Conclusion

Jio sim puk code khol ne ke liye apko pehle jio customer care se baat karke PUK code lena padega. Phir diye gaye puk code se aap jio sim ka puk lock ko unlock kar payenge.

Is article “Jio sim ka puk code kaise tode (Jio phone puk code unlock kaise kare)” me apko details se janne ko mila ki PUK code kaise nikalte hai. aur block sim ko puk code se kaise unlock kiya jata hai.

Agar apko kahi kisi step me problem ho to aap hamare fb page me message karke ya niche comment ke madhyam se puch sakte hai.

Aur issi tarah telecom tips and tricks ke liye hamare FB group, Twitter, Join kare.

पिछला लेखSIM PIN Code Kya Hai – What is SIM PIN Code in Hindi
अगला लेखHuawei Phone Ka Password, Pin Or Pattern Lock Kaise Tode
Hey Guys, I am Beli Singha. Mujhe Mobile And Technology Me Bhut Interest Hai. Isliye Solution In Hindi Pe Tech Se Related Tips and Tricks Hindi Me Share Karti Hun!

कोई जवाब दें

कृपया अपनी टिप्पणी दर्ज करें!
कृपया अपना नाम यहाँ दर्ज करें